ek do hi nahin chhabbis diye
ek ik kar ke jalae main ne
ek diya naam ka azadi ke
us ne jalte hue honton se kaha
chahe jis mulk se gehun mango
haath phailane ki azadi hai
ik diya naam ka khush-hali ke
us ke jalte hi ye maalum hua
kitni bad-hali hai
pet khali hai mira jeb miri khali hai
ik diya naam ka yak-jehti ke
raushni us ki jahan tak pahunchi
qaum ko ladte jhagadte dekha
maan ke anchal men hain jitne paivand
sab ko ik saath udhadte dekha
door se biivi ne jhalla ke kaha
tel mahnga bhi hai milta bhi nahin
kyun diye itne jala rakkhe hain
apne ghar men na jharoka na munder
taaq sapnon ke saja rakkhe hain
aaya ghusse ka ik aisa jhonka
bujh gae saare diye
haan magar ek diya naam hai jis ka ummid
jhilmilata hi chala jaata hai