roz badhta hoon jahan se aage
phir vahin laut ke aa jaata huun
bar-ha tod chuka huun jin ko
unhin divaron se takrata huun
roz baste hain kai shahr nae
roz dharti men sama jaate hain
zalzalon men thi zara si garmi
vo bhi ab roz hi aa jaate hain
jism se rooh talak ret hi ret
na kahin dhuup na saaya na sarab
kitne arman hain kis sahra men
kaun rakhta hai mazaron ka hisab
nabz bujhti bhi bhadakti bhi hai
dil ka maamul hai ghabrana bhi
raat andhere ne andhere se kaha
ek aadat hai jiye jaana bhi
qaus ik rang ki hoti hai tulu
ek hi chaal bhi paimane ki
goshe goshe men khadi hai masjid
shakl kya ho gai mai-khane ki
koi kahta tha samundar huun main
aur miri jeb men qatra bhi nahin
khairiyat apni likha karta huun
ab to taqdir men khatra bhi nahin
apne hathon ko padha karta huun
kabhi quran kabhi giita ki tarah
chand rekhaon men simaon men
zindagi qaid hai siita ki tarah
raam kab lautenge maalum nahin
kaash ravan hi koi aa jaata