Add Poetry

Deewane Log

Poet: Muhammad Nawaz By: Muhammad Nawaz, sangla hill

Hum Deewanon Ki Duniya Kay
Dastoor Niralay Hotay Hain
Chehray Pe Saja Ke Khushiyon Ko
Gham Dil Main Paalay Hotay Hain
Tum Kya Jano In Logon Ko
Tum Kya Samjho In Logon Ko
Jin Logon Ka Is Duniya Main
Ab Dast E Maseeha Koi Nhin
In Logon Ko Tum Kya Jano
Keh Jin Ke Dukhtay Seenay Main
Paanay Ki Tamanna Koi Nhin
Wahshat Ke Taqazay Saaray Hain
Hasil Ka Taqaza Koi Nhin
In Ishq Kay Maray Logon Kay
Dukkhon Ka Madawa Koi Nhin
Yeh Kirchi Kirchi Partao Hain
Takmeel E Sarapa Koi Nhin
Tum Chalna Chaho Sang In Kay
Kuchh Rasta Tu Chal Saktay Ho
Laikin Manzil Ke Dhokay Main
In Ke Haathon Main Haath Na Do
Sunn Lo Inki Saari Batein
Sab Lafz Saja Lo Seenay Main
Haan!Laikin Meri Baat Suno
In Ka Wahshat Main Sath Na Do
Inki Wahshat Who Wahshat Hai
Keh Jis Ka Kinara Koi Nhin
Dekho Tu Hain Saara Alam
Socho Tu Nateeja Koi Nhin

Rate it:
Views: 1540
31 Aug, 2010
Related Tags on Life Poetry
Load More Tags
More Life Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets