Deti Hai Sakoon Rooh Ko Kaanton Ki Chubhan Bhi
Text size
Deti Hai Sakoon Rooh Ko Kaanton Ki Chubhan Bhi
Khushbu Se Kabhi Hoti Hai Seenay Mein Jalan Bhi
Aansoo Hi Nahi Hasil_E_Izhar_E_Gham_E_Dil
Honton Se Larazti Hai Tabasum Ki Kiran Bhi
Ahsaas Ke Andaz Badal Jate Hain Warna
Aanchal Bhi Usi Taar Se Banta Hai Kafan Bhi