Diya Khud Se Bujha Dena Hawa Ko Aur Kiya Dena.

PoetMohsin Naqvi Submitted byRainy Eyes
Text size

Diya Khud Se Bujha Dena Hawa Ko Aur Kiya Dena
Sittare Nochne Walo Falak Ko Aasra Dena

Kabhi Is Taur Se Hansna Ke Duniya Ko Rula Dena
Kabhi Is Rang Se Rona Ke Khud Pe Muskura Dena

Main Teri Dastaras Chahun Mujhe Aisi Dua Dena
Main Tera Barmla Mujrim Mujhe Khul Kar Saza Dena

Main Tera Munfarid Sathi Mujhe Hat Kar Jaza Dena
Mera Sar Sab Se Auncha Hai Mujhe Maqtal Naya Dena

Related tags on Parveen Shakir poetry

Copied