lo pau phati vo chhup gai taron ki anjuman
lo jam-e-mahr se vo chhalakne lagi kiran
khichne laga nigah men fitrat ka bankpan
jalve zamin pe barse zamin ban gai dulhan
gunje tarane subh ka ik shor ho gaya
aalam mai-e-baqa men sharabor ho gaya
phuli shafaq faza men hina tilmila gai
ik mauj-e-rang kaanp ke aalam pe chha gai
kul chandni simat ke gulon men sama gai
zarre bane nujum zamin jagmaga gai
chhoda sahar ne tirgi-e-shab ko kaat ke
udne lagi hava men kiran os chaat ke
machli jabin-e-sharq pe is tarah mauj-e-nur
lahra ke tairne lagi aalam men barq-e-tur
udne lagi shamim chhalakne laga surur
khilne lage shagufe chahakne lage tuyur
jhonke chale hava ke shajar jhumne lage
masti men phuul kanton ka munh chumne lage
tham tham ke zau-fishan hua zarron pe aftab
chhidka hava ne sabza-e-khvabida par gulab
murjhai pattiyon men machalne laga shabab
larzish hui gulon ko barasne lagi sharab
rindan-e-mast aur bhi sarmast ho gae
tharra ke hont jaam men paivast ho gae
doshiza ek khush-qad o khush-rang-o-khub-ru
malan ki nur-dida gulistan ki aabru
mahka rahi hai phulon se daman-e-arzu
tifli liye hai god men tufan-e-rang-o-bu
ranginiyon men kheli gulon men pali hui
nauras kali men qaus-e-quzah hai dhali hui
masti men rukh pe baal pareshan kiye hue
badal men sham-e-tur farozan kiye hue
har samt naqsh-e-pa se charaghan kiye hue
anchal ko bar-e-gul se gulistan kiye hue
lahra rahi hai bad-e-sahar paanv chuum ke
phirti hai titari si ghazab jhuum jhuum ke
zulfon men tab-e-sumbul-e-pechan liye hue
aariz men shokh rang-e-gulistan liye hue
ankhon men ruh-e-bada-e-irfan liye hue
honton men ab-e-laal-e-badakhshan liye hue
fitrat ne tol tol ke chashm-e-qubul men
saara chaman nichod diya ek phuul men
ai hur-e-bagh itni khudi se na kaam le
ud kar shamim-e-gul kahin anchal na thaam le
kaliyon ka le payam sahar ka salam le
‘kaifi’ se husn-e-dost ka taaza kalam le
shaer ka dil hai muft men kyuun dard-mand ho
ik gul idhar bhi nazm agar ye pasand ho