Ae Meray Parwerdigaar! Maalik -e- Arz o Smaa
Ho Nahin Sakta Teri Rehmat Ka Haq Hum Se Adaa
Dustgiri Ki Hamesha Jo Mairay Haalaat Thay
Thay Shakasta Houslay Tootay Huay Jazbaat Thay
Khali Daman Aap Ne Mera Hamesha Bher Diyaa
Jo Daggar Mein Hein Musaafir Unn Ko Apni Mehr Dae
Jo Hein Bimaar Unn Ke Chehron Per Khushi Ki Lehr Dae
Tu He Denay Waala Hey Sub Ko Alaalat Mein Shifaa
Tod De Haayil Diloun Mein Jo Khadi Diwaar Hey
Sub Ko Rozi Ker Ata Jo Zee Naffas Bekaar Hey
Tujh Se He Feryaad Hey Tu Hey Hamaara Kibriyaa
Ghum Ke Andheron Mein Baandhi Teray Der Se Aas Hey
Apna Eemaan Hey Ke Tu Sheh -Rug Se Ziyada Pass Hey
Arsh Se Khali Na Aaye Daikhnaa Meri Duaa
Ae Meray Parwerdigaar ! Maalik e Arz o Smaa