Raat Phir Khowaab Main Aa Kar Mujhse
Meri Ammi Ne Kuch Sawaal Kiye
Us Se Pahley Mujhey Duaa Ye Di
Khuda Karey K Tu Sau Saal Jiye
Unki Aankhon Main Mohobbat Bhi Thi
Afsoos Bhi Tha
Ek Aanso Bhi Tha Un Aankhon Main
Jo Chillata Bhi Tha Khamosh Bhi Tha
Mujhse Poocha K Betey Kaisey Ho
Koi Diqqat To Nahin Hai Tumko
Phir Kaha
Tumko Maloom Hai Kya
Main Bari Takleef Main Hoon
Jab Se Laiti Hoon So Nahin Payee
Tumhaari Wajah Se Main Khul K Ro Nahin Payee
Terey Gunaah Mujhko Saanp Ban K Dastey Hain
Farishtey Aakar Har Roz Fiqrey Kastey Hain
Tum He Bataao Beta Mainey Kya Kami Ki Thi
Merey Samjhaney Main Kami Thi Kya
Ya Meri Tarbiyat Adhoori Thi
Kyon Burey Kaam Roz Kartey Ho
Kyon Nahin Us Khuda Se Dartey Ho
Jisney Tumko Ye Jaan Bakshi Hai
Jisney Tumko Amaan Bakshi Hai
Laut Kar Jiske Paas Jaana Hai
Kya Usey Munh Nahin Dikhana Hai
Kya Tumhein Is Liye Parhaya Tha
Kya Tumhein Yehi Sab Sikhaya Tha
K Apney Ilm Par Guroor Karo
Apney Nafs Ko Masroor Karo
Jab Bhi Bolo To Bas Ghalat Bolo
Zulm Dekho To Lab Nahi Kholo
Choor Kar Deen Bhool Kar Mazhab
Apni Auqaat Note Main Taulo
Sach Bataoo K Kya Ye Qissa Hai
Kya Ye Andaaz Meri Tarbiyat Ka Hissa Hai
Mujhko Afsoos Nahin K Tu Mujhey Bhool Gaya
Ranj Ye Hai K Mera Jeena Hi Fazool Gaya
Main To Jee K Bhi Roz Marti Hoon
Main Tujhey Roz Yaad Karti Hoon
Jis Tarah Jeeney Ka Aghaaz Kiya Hai Tuney
Uskey Anjaam Se Main Darti Hoon
Khuda Karey K Tujhey Ab Bhi Samajh Aa Jaye
Koi To Aakey Tujhey Seedhee Raah Dikha Jaye
K Ikhtitaam Ho Teri Gunah Ki Shaamon Ka
Mujhey Bhi Ajar Miley Terey Naik Kaamon Ka