✕
Poetry
Famous Poets
Allama Iqbal
Ahmed Faraz
Amjad Islam Amjad
Wasi Shah
Parveen Shakir
More Poets
Poetry Categories
Love Poetry
Sad Poetry
Friendship Poetry
Islamic Poetry
Punjabi Poetry
More Categories
Poetry SMS
Poetry Images
Tags
Poetry Videos
Featured Poets
Post your Poetry
News
Business
Mobile
Articles
Islam
Names
Health
Shop
More
WOMEN
AUTOS
ENews
Recipes
Poetries
Results
Videos
Directory
Photos
Business & Finance
Education News
Add Poetry
Home
LOVE POETRY
SAD POETRY
FAMOUS POETS
POETRY IMAGES
POETRY VIDEOS
NEWS
ARTICLES
MORE ON POETRY
Home
Urdu Poetry
Featured Poets
Faariya Riz
Search
Add Poetry
Poetries by Faariya Riz
Batain
Kaisi Batain Kartay Ho NASIR Kaisay Bhol Jaon Unko
Soorat To Phir Soorat Hai Nam B Acha Lagta Hai
Fariya Riz
Copy
Roop
Rach Bas Gaya Hai Zehan Main NASIR Kisi Ka Roop
Ab Kya Karain Gay Hum Koe Shahkar Daikh Kar
Fariya Riz
Copy
Ehsas
Kuchh To Ehasaas-E-Ziyaa.N Thaa Pahale
Dil Kaa Ye Haal Kahaa.N Thaa Pahale
Ab To Manzil Bhii Hai Khud Garm-E-Safar
Har Qadam Sang-E-Nishaa.N Thaa Pahale
Safar-E-Shauq Ke Far_Sang Na Puuchh
Vaqt Beqaid-E-Makaa.N Thaa Pahale
Ye Alag Baat K Gam Raas Hai Ab
Is Me.N Andeshaa-E-Jaa.N Thaa Pahale
Yuu.N Na Ghabaraaye Huye Phirate The
Dil Ajab Kunj-E-Amaa.N Thaa Pahale
Ab Bhii Tuu Paas Nahii.N Hai Lekin
Is Qadar Duur Kahaa.N Thaa Pahale
Dere Daale Hai.N Bagolo.N Ne Jahaa.N
Us Taraf Chashm-E-Ravaa.N Thaa Pahale
Ab Vo Dariyaa Na Bastii Na Vo Log
Kyaa Khabar Kaun Kahaa.N Thaa Pahale
Har Kharaabaa Ye Sadaa Detaa Hai
Mai.N Bhii Aabaad Makaa.N Thaa Pahale
Kyaa Se Kyaa Ho Gai Duniyaa Pyaare
Tuu Vahii.N Par Hai Jahaa.N Thaa Pahale
Ham Ne Aabaad Kiyaa Mulk-E-Sukhan
Kaisaa Sun_Saan Samaa.N Thaa Pahale
Ham Ne Bakhshii Hai Khamoshii Ko Zubaa.N
Dard Majabuur-E-Fugaa.N Thaa Pahale
Ham Ne Roshan Kiyaa Maamuur-E-Gam
Varnaa Har Simt Dhuaa.N Thaa Pahale
Gam Ne Phir Dil Ko Jagaayaanasir
Khaanaa_Barbaad Kahaa.N Thaa Pahale
Fariya Riz
Copy
Tere Aane Ka Dhoka Sa Raha Hai
Tere Aane Ka Dhoka Sa Raha Hai
Diyaa Saa Raat Bhar Jaltaa Rahaa Hai
Ajab Hai Raat Se Aankhon Kaa Aalam
Ye Dariyaa Raat Bhar Charhtaa Rahaa Hai
Sunaa Hai Raat Bhar Barsa Hai Baadal
Magar Vo Shaher Jo Pyaasaa Rahaa Hai
Vo KoIi Dost Thaa Achche Dinon Kaa
Jo Pichhlii Raat Se Yaad Aa Rahaa Hai
Kise Dhuundoge In Galiyon Men Nasir?
Chalo Ab Ghar Chalen, Din Jaa Raha Hai
Fariya Riz
Copy
Dukh
Niiyat-E-Shauq Bhar Na Jaaye Kahii.N
Tuu Bhii Dil Se Utar Na Jaaye Kahii.N
Aaj Dekhaa Hai Tujhe Der Ke Baad
Aaj Kaa Din Guzar Na Jaaye Kahii.N
Na Milaa Kar Udaas Logo.N Se
Husn Teraa Bikhar Na Jaaye Kahii.N
Aarazuu Hai Ke Tuu Yahaa.N Aaye
Aur Phir Umr Bhar Na Jaaye Kahii.N
Jii Jalaataa Huu.N Aur Ye Sochataa Huu.N
Raayegaa.N Ye Hunar Na Jaaye Kahii.N
Aao Kuchh Der Ro Hii Le.N 'Nasir'
Phir Ye Dariyaa Utar Na Jaaye Kahii.N
Fariya Riz
Copy
Kisii Kalii Ne Bhii
Kisii Kalii Ne Bhii Dekhaa Na Aankh Bhar Ke Mujhe
Guzar Ga'ii Jaras-E-Gul Udaas Karke Mujhe
Main So Rahaa Thaa Kisii Yaad Ke Shabistaan Men
Jagaa Ke Chhor Gaye Qaafle Sahar Ke Mujhe
Main Ro Rahaa Thaa Muqaddar Kii Sakht Raahon Men
Ura Ke Le Gaye Jaduu Terii Nazar Ke Mujhe
Main Tere Dard Ki Tughyaaniyon Men Duub Gayaa
Pukaarte Rahe Taare Ubhar Ubhar Ke Mujhe
Tere Firaaq Kii Raten Kabhii Na Bhuulengii
Maze Mile Inhiin Raaton Men Umar Bhar Ke Mujhe
Zaraa Sii Der Thaharne De Aye Gham-E-Duniaa
Bulaa Rahaa Hai Ko'ii Baam Se Utar Ke Mujhe
Phir Aaj Aa'ii Thii Ek Mauj-Ai-Hawaa-E-Tarb
Sunaa Ga'ii Hai Fasaane Idhar Udhar Ke Mujhe
Fariya Riz
Copy
Udasiyan
Udasiyon Ka Samaa Mehfilon Mai Chhorh Gayee
Bahar Aik Khalish See Dilon Mai Chhorh Gayee
Bicchar Ke Tujh Se Hazaron Taraf Khayal Gaya
Teri Nazar Mujhey Kin Manzilon Mai Chhodh Gayee
Kahan Se Laaiye Ab Us Nigaah Ko Nasir
Jo Natamaam Umangen Dilon Mai Chhor Gayee
Fariya Riz
Copy
Kitanaa Kaam Karenge
Kitanaa Kaam Karenge
Ab Aaraam Karenge
Tere Diye Hue Dukh
Tere Naam Karenge
Ahal-E-Dard Hii Aakhir
Khushiyaa.N Aam Karenge
Kaun Bachaa Hai Jise Vo
Zer-E-Daam Karenge
Fariya Riz
Copy
Tu Hay Ya Tera Saaya Hay
Tu Hay Ya Tera Saaya Hay
Bhes Judai Nay Badla Hay
Dil Ki Haveli Par Muddat Say
Khamoshi Ka Qufl Para Hay
Cheekh Rahay Hain Khali Kamray
Sham Say Kitni Tez Hava Hay
Darvazay Sar Phor Rahay Hain
Kon Is Ghar Ko Chor Gaya Hay
Hichki Thamti Hi Nahin Nasir
Aaj Kisi Nay Yaad Kiya Hay
Fariya Riz
Copy
Aaj To Bey Sabab Udas Hai Ji
Aaj To Bey Sabab Udas Hai Ji
Ishq Hota To Koi Baat Bhi Thi
Jalta Phirta Hun Kyun Dopehron Mein
Jaaney Kyaa Chiiz Kho Gai Meri
Vahin Phirtaa Hun Main Bhi Khaak Ba-Sar
Is Bharey Shehr Mein Hai Ek Galii
Chhuptaa Phirtaa Hai Ishq Duniyaa Se
Phailtii Jaa Rahii Hai Rusvaaii
Hum Nashin Kyaa Kahun K Wo Kya Hai
Chhorre Ye Baat Neend Urrney Lagii
Aaj To Vo Bhi Kuch Khaamosh Sa Tha
Main Ne Bhi Us Se Koi Baat Na Kii
Ek Dam Us K Haath Chuum Liye
Ye Mujhe Betthey Betthey Kyaa Soojhii
Tu Jo Itanaa Udaas Hai Nasir
Tujhe Kyaa Ho Gayaa Bata To Sahii
Fariya Riz
Copy
Ishq Mein Jeet Hui Ya Maat
Ishq Mein Jeet Hui Ya Maat
Aaj Ki Raat Na Chhed Ye Baat
Yun Aaya Wo Jaan Bahaar
Jaise Jag Mein Phaile Baat
Rang Khule Sehraa Ki Dhoop
Zulf Ghane Jangal Ki Raat
Kuch Na Suna Aur Kuch Na Kaha
Dil Mein Reh Gayi Dil Ki Baat
Yaar Ki Nagri Koson Duur
Kaise Kategi Bhaari Raat
Basti Waalon Se Chhup Kar
Ro Lete Hain Picchli Raat
Sannaton Mein Sunte Hain,
Suni Sunayi Koi Baat
Phir Jaade Ki Rut Aayi
Chhote Din Aur Lambi Raat
Fariya Riz
Copy
Dil Mai Kisi Yaad Nay Li Angdaai
Dafatan Dil Mai Kisi Yaad Nay Li Angdaai
Is Kharaabay Mai Yeh Deewar Kahan Say Aayee
Aaj Khulnay Hi Ko Tha Dard Mohabbat Ka Bharam
Woh Toh Khahyee Keh Achanak Hi Teri Yaad Ayee
Bass Yun Hi Dil Ko Tawaqa Si Hai Tujh Say Warna
Jaanta Hun Keh Muqaddar Hai Mera Tanhaai
Nasha Talkhi-E-Ayaam--Utarta Hi Nahi
Teri Nazron Nay Gulaabi Toh Bohot Chalkaai
Yun Toh Her Shakhs Akaila Hai Bhari Duniya Mai
Phir Bhi Her Dil Kay Muqaddar Mai Nahi Tanhaai
Doobtay Chaand Pay Royee Hain Hazaaron Aankhain
Mai Toh Roya Bhi Nahi Nahi--Tumko Hansi Kyon Ayee
Raat Bhar Jaagtey Rehtay Ho Bhala Kyon *Nasir*
Tum Nay Yeh Daulat Baidaar Kahan Say Paayee
Fariya Riz
Copy
Maanoos Ajnabi
Gaye Dino Ka Suraag Lay Ker Kidhar Se Aya Kidhar Gaya Woh
Ajeeb Manoos Ajnabi Tha Mujhay To Hairan Ker Gaya Woh
Wo Maikaday Ko Jiganay Wala, Wo Raaton Ki Neendain Uranay Wala
Yeh Aaj Kia Uss Kay Jee Mein Aayee Kay Shaam Hotay He Ghar Gia Woh
Khushi Ki Ruth Ho Key Ghum Ka Mousam Nazar Dhoondhti Hai Usey Her Dum
Woh Boo-E-Gul Tha Key Nagma-E- Jaan Mairay To Dil Main Uttar Gaya Woh
Bas Ek Moti Si Chab Dikha Ker Bas Ek Meethi Si Dhun Suna Ker
Sitara-E-Shaam Ban Ker Aya Barang-E-Khawab-E- Sehar Kar Gaya Woh
Na Ab Who Yadoon Ka Charta Dariya Key Na Fursatoon Ki Udaas Barkha
Younhi Zara Si Kasak Hai Dil Main Jo Zakham Gehra Tha Bhar Gaya Woh
Wo Jiss Kay Shaney Pay Haath Rakh Kar Safar Kiya Tu Nay Manzaloon Ka
Teri Galli Say Naa Janay Kiun, Aaj Sar Jukaaye Guzar Gia Woh
Kuch Ab Sambhalnay Lagi Hai Jaan Bhi Badal Chala Rang-E-Assman Bhi
Jo Raat Bharri Thi Thal Gayee Jo Din Kara Tha Guzar Gaya Woh
Woh Raat Ka Be-Nawa Musafir, Who Tera Shair, Woh Tera Nasir
Teri Galli Tak Tu Hum Nay Dekha, Phir Naa Janay Kidhar Gaya Woh
Fariya Riz
Copy
Pathar Bana Diya Mujhe
Pathar Bana Diya Mujhe Rone Nahi Diya
Daman Bhi Tere Gham Ne Bhigone Nahi Diya
Tanhaiyan Tumhara Pata Poochti Rahin
Shab Bhar Tumhari Yaad Ne Sone Nahi Diya
Aankhon Mein Aa Ke Beith Gai Ashkon Ki Lehar
Palkon Pe Koi Khwab Pirone Nahi Diya
Dil Ko Tumhare Naam Ke Aansoo Aziz The
Dunia Ka Koi Dard Samone Nahi Diya
Nasir Yun Us Ki Yaad Chali Haath Thaam Ke
Meile Mein Is Jahan Ke Khone Nahi Diya
Fariya Riz
Copy
Kamal-E-Zabt
Kamal-E-Zabt Ko Khud Bhi Aazmaongi
Main Apnay Hath Say Uski Dulhan Sajaongi
Supard Karkay Usay Chandni Kay Hathon Main
Main Apnay Ghar Kay Andheron Main Loat Aaongi
Badan Kay Karb Ko Wo Bhi Samajh Na Paye Ga
Main Dil Main Roangi, Aankhon Main Muskuraongi
Wo Kia Gaya Kay Rafaqat Kay Saray Lutf Gaye
Main Kis Say Rooth Sakongi , Kissay Manaogi
Ab Uska Fun Tou Kisi Oar Say Hua Mansoob
Main Kis Ki Nazam Akele Main Gungunaogi
Wo Ike Rishta-E- Baynaam Bhi Nahi Lakin
Main Ab Bhi Us Kay Isharoon Par Sir Jhokaongi
Samaoton Main Ghanay Jangaloon Ki Sa,Atain Hain
Main Ab Kabhi Teri Awaz Sun Na Paon Gi
Jawaz Dhoond Raha Tha Nai Mohabbat Ka
Wo Kahraha Tha Main Usko Bhool Jaongi
Fariya Riz
Copy
Zakhm
Bichra Hay Jo Aik Baar Tou Miltay Nahi Dekha
Is Zakham Ko Hum Nay Kabhi Siltay Nahi Dekha
Ike Baar Jisay Chaat Gai Dhoop Ki Khawish
Phir Shakh Pay Us Phool Ko Khiltay Nahi Dekha
Yak Lakht Gira Hay Tou Jarain Tak Nikal Aai
Jis Pair Ko Aandhi Main Bhi Hiltay Nahi Dekha
Kanton Main Ghiray Phool Ko Choom Aaigi Lakin
Tatli Kay Paron Ko Kabhi Chubtay Nahi Dekha
Kis Tarah Meri Rooh Hari Kargaya Aakhri
Wo Zahar Jissay Jism Main Khiltay Nahi Dekha
Fariya Riz
Copy
شکایت
بہت چپ ہو شکایت چھوڑ دی کیا
راہ و رسمِ محبت چھوڑ دی کیا
یہ کیا اندر ہی اندر بجھ رہے ہو
ہواؤں سے رقابت چھوڑ دی کیا
مناتے پھر رہے ہو ہر کسی کو
خفا رہنے کی عادت چھوڑ دی کیا
لئے بیٹھی ہیں آنکھیں آنسوؤں کو
ستاروں کی سیاحت چھوڑ دی کیا
غبارِ شہر کیوں بیٹھا ہوا ہے
میرے آہو نے وحشت چھوڑ دی کیا
فقیروں کی طرف آنے لگے پھر
نمائش گاہِ شہرت چھوڑ دی کیا
میرے کمرے کو معبد کہنے والی
کہاں ہے تُو عبادت چھوڑ دی کیا
یہ دُنیا تو نہیں مانے گی عاصم
مگر تم نے بھی حجّت چھوڑ دی کیا
Fariya Riz
Copy
محبت ایک دعا ہے
محبت ایک دعا ہے
تم مجھے بس یہ دعا دینا
خطا کوئی جو ہو جائے
کبھی لہجہ بدل جائے
ضروری بات رہ جائے
میرا چہرا بدل جائے
اگر پہچان نہ پاؤں
تمہیں گر جان نہ پاؤں
دعا دینا
محبت ایک دعا ہے
تم مجھے بس یہ دعا دینا
ستارے توڑ نہ پاؤں
تمہارے کام نہ آؤں
توازن جو نہ رہ پائے
نظر بندی نظر آئے
اشارہ ہو شرارت کا
کوئی دھوکہ بصارت کا
دعا دینا
محبت ایک دعا ہے
تم مجھے بس یہ دعا دینا
میں تم سے کہہ نہیں پایا
تمہارے نام کا سایہ
میرے ہمراہ رہتا ہے
مجھے ہر پل یہ کہتا ہے
کوئی مشکل جو در آئے
تصور میرا دھندلائے
دعا دینا
محبت ایک دعا ہے
تم مجھے بس یہ دعا دینا
Fariya Riz
Copy
وہ لڑکی پھول جیسی ہے
بہت شاداں، بہت دلکش
بہت نازک، بہت کومل
اُسے پاکیزہ نظروں سے
ہمیشہ میں نے دیکھا ہے
اُسے پاکیزہ سوچوں میں
ہمیشہ میں نے سوچا ہے
اُسے میں جب بھی دیکھوں تو
قسم سے اپنی پلکیں بھی
جھکانا بھول جاتا ہوں
اُسے دیکھا ہے میں نے پر
بہت محتاط نظروں سے
میں ڈرتا ہوں کہیں اُس کو
نظر میری نہ لگ جائے
کہ اُس کا مرمریں نازک سراپا
سر سے پا تک اپنی خوشبو سے مہکتا ہے
کہ اُس کے پاس جانے سے
میری ہر سانس بھینی بھینی
خوشبو سے مہکتی ہے
اُسے چھونے سے ڈرتا ہوں
گلابی رنگ چھونے سے
کہیں میلا نہ ہو جائے
ذرا سوچو، ذرا بوجھو
وہ لڑکی کون ہے سوچو
وہ لڑکی کون ہے بوجھو
چلو میں خود بتا دیتا ہوں
اُس لڑکی کے بارے میں
وہ لڑکی آپ ہو وللہ
وہ لڑکی آپ ہو وللہ
Fariya Riz
Copy
اُسے جانے کی جلدی تھی
یونہی باتوں ہی باتوں میں
مجھے اُس نے بتایا تھا
محبت کرنے والے پیار میں دھوکا نہیں کرتے
کوئی جب بات کرتا ہو اُسے ٹوکا نہیں کرتے
جسے جانے کی جلدی ہو اُسے روکا نہیں کرتے
یونہی باتوں ہی باتوں میں
مجھے اب یاد آیا ہے
اُسے جانے کی جلدی تھی
Fariya Riz
Copy
Load More
Famous Poets
Mirza Ghalib
Allama Iqbal
Ahmed Faraz
Amjad Islam Amjad
Wasi Shah
Parveen Shakir
Faiz Ahmed Faiz
Munir Niazi
Jaun Elia
Gulzar
Tahzeeb Hafi
Ali Zaryoun
View More Poets