Add Poetry

Maanoos Ajnabi

Poet: Nasir Kazmi By: Fariya Riz, karachi

Gaye Dino Ka Suraag Lay Ker Kidhar Se Aya Kidhar Gaya Woh
Ajeeb Manoos Ajnabi Tha Mujhay To Hairan Ker Gaya Woh

Wo Maikaday Ko Jiganay Wala, Wo Raaton Ki Neendain Uranay Wala
Yeh Aaj Kia Uss Kay Jee Mein Aayee Kay Shaam Hotay He Ghar Gia Woh

Khushi Ki Ruth Ho Key Ghum Ka Mousam Nazar Dhoondhti Hai Usey Her Dum
Woh Boo-E-Gul Tha Key Nagma-E- Jaan Mairay To Dil Main Uttar Gaya Woh

Bas Ek Moti Si Chab Dikha Ker Bas Ek Meethi Si Dhun Suna Ker
Sitara-E-Shaam Ban Ker Aya Barang-E-Khawab-E- Sehar Kar Gaya Woh

Na Ab Who Yadoon Ka Charta Dariya Key Na Fursatoon Ki Udaas Barkha
Younhi Zara Si Kasak Hai Dil Main Jo Zakham Gehra Tha Bhar Gaya Woh

Wo Jiss Kay Shaney Pay Haath Rakh Kar Safar Kiya Tu Nay Manzaloon Ka
Teri Galli Say Naa Janay Kiun, Aaj Sar Jukaaye Guzar Gia Woh

Kuch Ab Sambhalnay Lagi Hai Jaan Bhi Badal Chala Rang-E-Assman Bhi
Jo Raat Bharri Thi Thal Gayee Jo Din Kara Tha Guzar Gaya Woh

Woh Raat Ka Be-Nawa Musafir, Who Tera Shair, Woh Tera Nasir
Teri Galli Tak Tu Hum Nay Dekha, Phir Naa Janay Kidhar Gaya Woh

Rate it:
Views: 1580
29 Dec, 2009
Related Tags on Love / Romantic Poetry
Load More Tags
More Love / Romantic Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets