Gham E Hayat Ka Ab Charcha Na

PoetZakia Tabassum Submitted byZakia Tabassum
Text size

Gham E Hayat Ka Ab Charcha Na Kiya Jaye
Mere Zabt Ka Youn , Imtehan Na Liya Jaye

Qubool Ho Na Saki Dua E Mohabat
Daman Magar Yeh Tar Tar Na Sambhala Jaye

Us K Sath Hai Tarazu Gunah O Sawab Ki
Kese Mujh Say Yeh Bojh Uthaya Jaye

Mere Wujud Mein Shamil Hai Wo , Tabassum
Rag Rag Say Kaise Us'se Ab Juda Kiya Jaye

Related tags on Parveen Shakir poetry

Copied