Ghar Laut Ke Roenge Maa Baap Akele mein
mitti ke khilaune bhi saste na the mele mein
kanton pe chale lekin hone na diya zahir
talwon ka lahu dhoya chhup chhup ke akele mein
ai dawar-e-mahshar le dekh aae teri duniya
hum khud ko bhi kho baithe wo bheer thi mele mein
khushbu ki tijarat ne diwar khari kar di
aangan ki chameli mein bazar ke bele mein