Ghulam Ali Ghazals Lyrics
Ghulam Ali Ghazals Lyrics is best way to express your words and emotion. Check out the amazing collection of express your feeling in words. This section is based on a huge data of all the latest Ghulam Ali Ghazals Lyrics that can be dedicated to your family, friends and love ones. Convey the inner feelings of heart with this world’s largest Ghulam Ali Ghazals Lyrics compilation that offers an individual to show the sentiments through words.
Thoree See Joe Pee Lee Hai
Daaka To Nahin Daala,
Choree To Nahin Kee Hai
Us Ma’ay Say Nahin Matlab,
Dil Jis Say Ho Baygaana
Maqsood Hay Oos Ma’ay Se,
Dil Hee Main Jo Khinchtee Hai
Na Tajurba-Kari Se,
Va’iz Kee Ye Batain Hain
Us Rung Ko Kya Jaanay,
Pucho To Kabhee Pee Hai?
Sooraj Main Lagay Dhabba,
Fitrat Kay Karishmay Hain
Butt Hum Ko Kahain Kaafir,
Allah Kee Marzee Hai
Har Zarra Chamakta hai,
Anwar-e-Elaahi Se..
Har Saans ye kehti hai,
Hum Hai to Khudaa Bhi Hai..
suraj mein lage dhabba
fitrat ke karishme hain
but hum ko kahen kafir allah ki marzi hai
talim ka shor aisa tahzib ka ghul itna
barakat jo nahin hoti niyyat ki KHarabi hai
sach kahte hain shaiKH 'akbar' hai taat-e-haq lazim
han tark-e-mai-o-shahid ye un ki buzurgi hai
Kuchh Ne Kaha Ye Chand Hai Kuchh Ne Kaha Chehra Tira
Ham Bhi Vahin Maujud The Ham Se Bhi Sab Puchha Kiye
Ham Hans Diye Ham Chup Rahe Manzur Tha Parda Tira
Is Shahr Men Kis Se Milen Ham Se To Chhutin Mahfilen
Har Shakhs Tera Naam Le Har Shakhs Divana Tira
Kuche Ko Tere Chhod Kar Jogi Hi Ban Jaa.En Magar
Jangal Tire Parbat Tire Basti Tiri Sahra Tira
Ham Aur Rasm-E-Bandagi Ashuftagi Uftadgi
Ehsan Hai Kya Kya Tira Ai Husn-E-Be-Parva Tira
Do Ashk Jaane Kis Liye Palkon Pe Aa Kar Tik Ga.E
Altaf Ki Barish Tiri Ikram Ka Dariya Tira
Ai Be-Daregh O Be-Aman Ham Ne Kabhi Ki Hai Fughan
Ham Ko Tiri Vahshat Sahi Ham Ko Sahi Sauda Tira
Ham Par Ye Sakhti Ki Nazar Ham Hain Faqir-E-Rehguzar
Rasta Kabhi Roka Tira Daman Kabhi Thama Tira
Haan Haan Tiri Surat Hasin Lekin Tu Aisa Bhi Nahin
Ik Shakhs Ke Ash.Ar Se Shohra Hua Kya Kya Tira
Bedard Sunni Ho To Chal Kahta Hai Kya Achchhi Ghazal
Ashiq Tira Rusva Tira Sha.Ir Tira 'Insha' Tira
Hum Ko Ab Tak Aashki Ka Wo Zamana Yaad He
Tujh Se Kuch Milty Hi Wo Bak Ho Jana Mera
Or Tera Danto Me Wo Ungli Dabana Yaad He
Khanch Leta Wo Mera Pardy Ka Kona Dafatan
Or Dupaty Se Tera Wo Muh Chupana Yaad He
Tujh Ko Tanha Jab Kabhi Paana To Az Rah Lihaz
Hale Dill Baton Hi Baton Me Jatana Yaad He
Dekhna Mujh Ko Jo Bar Guzrashta To So So Naaz Se
Jab Mna Lena To Phir Khud Roth Jaana Yaad He
Dopehr Ki Dhop Me Mujh Ko Bulanay K Liye
Wo Tera Kothy Pe Naangy Paaon Aana Yaad He
Meri Awargi Ne Mujh Ko Awara Bana Dala
Bara Dilkash Bara Rangeen Hai Ye Shehr Kehte Hain
Yahaan Par Hain Hazaaron Ghar Gharon Mein Log Rehte Hain
Mujhe Iss Shehr Ne Galiyun Ka Bunjara Bana Dala
Main Iss Duniya Ko Aksar Dekh Kar Heyraan Hota Hun
Na Ban Saka Mujh Se Chota Sa Ghar Din Raat Rota Hun
Khudaya Tu Ne Kaise Ye Jahan Sara Banna Dala
Mere Malik Mera Dil Kiyun Tarapta Hai Sulagta Hai
Teri Marzi Pe Kiss Ka Zoor Chalta Hai
Kisi Ko Gul Kisi Ko Tu Ne Angaar Bana Dala
Yahi Aaghaz Tha Mera Yahi Anjam Hona Tha
Mujhe Barbad Hona Tha Mujhe Nakaam Hona Tha
Mujhe Takdeer Ne Takdeer Ka Mara Bana Dala
Urdu ghazals are beautifully written and easily available online. Their emotional depth makes them a favorite for poetry lovers.
- yasir , kohat
- Wed 02 Jul, 2025
I truly love ghazals the most, And Urdu ghazals are my absolute favorite. Their depth and beauty touch my heart like nothing else.
- Areeba , islamabad
- Mon 30 Jun, 2025
Urdu ghazals are my favorite form of poetry. I absolutely love reading them on this page. They always touch my heart and soul deeply.
- Amir , Lahore
- Thu 19 Jun, 2025
