Add Poetry

Har Ek Zakhm Ka Chehra Gulaab Jaisa

Poet: Mohsin Naqvi By: Anas Ali, 194 R,B Faisalabad

Har Ek Zakhm Ka Chehra Gulaab Jesa Hai
Magar Yeh Jaagta Manzar Bhi Khawb Jesa Hai

Yeh Talkh Talkhh Sa Lehja, Yeh Tez Tez Si Baat
Mizaaj-E-Yaar Ka Aalam Sharaab Jesa Hai

Bara Taveel, Neyhayet Haseen, Bohat Mubhim
Mera Sawaal Tumhare Jawaab Jesa Hai

Tu Zindagi Ke Haqaayeq Ki Teh Main Yun Na Utar
Ke Iss Nadi Ka Bahaao Chanaa Jesa Hai

Teri Nazar Hi Nahin Harf Ashnaa Warnaa
Har Ek Chehra Yahan Kitaab Jesa Hai

Chamak Uthey To Samandar, Bujhey To Rait Ke Leher
Mere Khayal Ka Daryaa Saraab Jesa Hai

Tere Qareeb Bhi Reh Kar Na Paa Sakoon Tujh Ko
Tere Khayal Ka Jalwaa Hubaab Jesa Hy
 

Rate it:
Views: 4181
30 Jan, 2013
Related Tags on Mohsin Naqvi Poetry
Load More Tags
More Mohsin Naqvi Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets