Add Poetry

Har Lamha Har Pal

Poet: By: Asif, LAHORE

Har Lamha, Har Pal Teri Aahat Mehsoos Hoti Hai
Jaane Kiyun Mujhko Tujhse Qurbat Mehsoos Hoti Hai

Sukoon As Rehta Hai Jo Tu Qareeb Hoti Hai
Jaane Ke Baad Tere Ek Wehshat Mehsoos Hoti Hai

Nahi Jaante Ke Tere Bin Ji Payen Ge Ke Nahi
Bass Saans Ki Tarah Teri Zaroorat Mehsoos Hoti Hai

Har Aah Mein Tera Naam,Har Khwahish Mein Bass Tu Hai
Tujhko Paane Ki Ek Hasrat Mehsoos Hoti Hai

Yeh Dunya Ki Muhabbat Bohat Bechain Rakhti Hai Mujhay
Par Dil Ki Bechaini Mein Raahat Mehsoos Hoti Hai

Is Chalti Hawa Mein Saansein Dono Ki Shamil Hain
Tujhse Wabastagi Mujhko Har Waqt Mehsoos Hoti Hai

Be Wuq'at Hain Who Pal Jo Tere Baad Guzarte Hain
Tu Hoti Hai To Waqt Ki Qeemat Mehsoos Hoti Hai

Najaane Kia Hai Ke Meri Bund Nigaahon Ko
Teri Bund Nigaahon Se Muhabbat Mehsoos Hoti Hai

Na Toray Koi Meri Soch Ke Is Haseen Khuwab Ko
Issi Ehsaas Mein Yeh Duniya Jannat Mehsoos Hoti Hai

Rate it:
Views: 1325
28 Jul, 2008
Related Tags on Sad Poetry
Load More Tags
More Sad Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets