Har Lehza Hai Momin
Poet: Allama Iqbal By: ساجد حمید, RawalpindiHar Lehza Hai Momin Ki Nayi Shaan Nayi Aan
 Guftar Mein Kirdar Mein ALLAH Ki Burhan
 
 Qahari o Ghaffari o Quddusi or Jabaroot
 Ye Chaar Anasir Hon To Banta Hai Musalman
 
 Hamsaya Jibreel e Ameen Banda KHaaki
 Hai Us Ka Nasheman Na Bukhara Na Badakhshan
 
 Ye Raaz Kisi Ko Nahin Maloom Keh Momin
 Qaari Nazar Aata Hai Haqeeqat Mein Hai Qur’an
 
 Qudrat Ke Maqasid Ka Ayar Us Ke Irade
 Dunya Mein Bhi Meezan Qayamat Mein Bhi Meezan
 
 Jis Se Jigar Lala Mein Thandak Ho Woh Shabnam
 Daryaaon Ke Dil Jis Se Dehel Jaayen Wo Toofan
 
 Fitrat Ka Sarod e Azli Is Ke Shab o Roz
 Aahang Mein Yakta Sift Surah Rehman
 
 Bante Hain Meri Kar Gah e Fikar Mein Anjum
 Lay Apne Muqaddar Ke Sitare Ko Tu Pehchaan
More Allama Iqbal Poetry







 
  
  
  
  
  
  
  
  
  
  
 