Ho Ker Teray Rouzay Se Jo Insaan Gaye Hein
Allah Ki Hasti Ko Woh Pehchaan Gaye Hein
Phirtay Hein Liyay Hathon Mein Tauheed Ka Percham
Jis Simt Bhi Dynya Mein Mussalman Gaye Hein
Mein Ne Jo Shariyyat K Usool Unko Bataye
Waa-Izz Meri Batonka Bura Maan Gaye Hein
Emaan Ki Daulat Hi Assal Rakht-E Saffar Hay
Dunya Se Sabhi Be-Sar-O-Samaan Gaye Hein
Heryaali Si Chhanay Lagi Dherti K Baddan Per
Aangan Mein Haleema K Woh Zeshaan Gaye Hein
Jhurmatt Ye Sitaron K Sada Dein Gay Gawahi
Tashreef Liyay Sahib-E Qura'an Gaye Hein
Allah Ka Gher Shehr-E Nabee Donoun Hein Roshan
Kehtay Hein Khalaoun Mein Jo Mehmaan Gaye Hein