Gar Ho Badal Mizaaj To Mausam Kahenge
Gar Ho Fana Zindagi To Qayamat Kahenge
Kal Jo Haqiqat Thi, Aaj Taarikh Ban Gayee Hai
Jo Imarat Falak-Bose Thi, Aaj Oose Malba Kahenge
Palko’n Pe Ashko’n Ki Qataro’n Ke Yun Mele Lage Hain
Insaa’n Ke Is Bikhrey Lamhe Ko Be-Basi Kahenge
Kashti Kinarey Lagti Hai, Qismat Ke Har Mallah Ki
Sabr Ka Patwar Na Chutha To Hausla Kahenge
Kyun Dhundley Nazar Aarahey Hain Chehre Aayeene Mein
Maazi Ki Un Khata’on Ko, Taqdeer Ka Faisla Kahenge
Kwabo’n Ke Gharondey Nahi Banate, Ummid Ke Sahil Per
Waqt Ki Khaufnak Lehre’n Agayee’n To Phir Kya Kahenge
Har Shaks Paresha’n Hai, Kyun Apne Hi Aashya’n Mein
Halaat Ke Kaante Chubhney Lage to Imteha’n Kahenge
Yun Be-Rukhi Se Chal Diye, Aaj Wo Mehfil Ko Chod’h Kar
Nigah Na Lauti Us Waqt, To Haal-e-Dil Kis Se Kahenge
Yaade’n Simat Ke Reh Gayee Hain Shakir Ki Tehreer Mein
Jazbaat Na Padh Sake, To Tumhein Hum Kya Kahenge