Wafa Ki Abroo Karna
Safar Ki Justuju Karna
Jo Tm Mayoos Hojao
Khuda Se Guftugu Karna
Ye Akser Ho Bhi Jata He
Ke Koi Kho Bhi Jata He
Muqadder Ko Satao Ge
To Phir Ye So Bhi Jata He
Hazaro Log Dunya Me
Nae Andaz-E-Balaa Me
Ke Aese Faisle Inke
Ke Dil Phir Toot Jata He
Zara Koshish To Tm Krlo
Zara Si Nend To Khodo
Ke Ger Jana Ho Manzil Ko
Nai Rahoo Ko To Kholo
Ager Tm Hosla Rakho
Khudi Ko Mutmain Rakho
To Wada He Ye Mola Ka
Kabhi Nakam Na Hoge
Kya Tm Ne Dekha He Inko
Mashhoor-O-Faizyabo Ko
Yaha To Ae The Insaan
Gae Wo Paa Ke Manzil Ko
Shuker To Uska Karna He
Aehsano Ko Nibhana He
Aqal Jesi Ye Nemat Ko
Ke Sochen Wo Jo Bana He
Hamare Hath Me He Ab
Karo Mumkin Ya Na Mumkin
Ke Ger Karna Ho Jo Mumkin
To Na Mumkin Mita Dena
Abhi Bhi Ho Koi Mushkil
To Mushkil Ko Mita Dena
Ke Ye Asaan To He "Shahan"
Zara Himmat Na Haro To