Add Poetry

Jee Chaha

Poet: kanwal By: kanwal, islamabad

Is Khamoshi Mein Kuch Kehnay Ko Jee Chaha
Apnay Aap Se Kuch Kehnay Ko Jee Chaha

Jab Tanhayi Ne Aa Kar Dastak Di
Dil Ki Awaz Tehreer Karnay Ko Jee Chaha

In Mosmoon Ki Badalti Ruton Mein
Waqat K Tehar Janay Ko Jee Chaha

Zindagi Ki Rahoon Mein Jab Apnon Ne Sataya
Kahin Dor Buhat Dor Janay Ko Jee Chaha

Itna Dor Reh K Hum Kuch Keh Na Sakay
Bus Yehi Raz-E-Byan Chupanay Ko Jee Chaha

Jab Haqeeqat Ko Us Ne Sapna Kaha
Sapnay-O-Haqeeqat Mein Farak Batanay Ko Jee Chaha

Pyaar Hamara Haqeeqat Hai Koi Sapna Hai
Isi Haqeeqat Mein Zindagi Guzray Yehi Jee Chaha

Har Paal Jab Ankhon Mein Chehra-E-Yaar Nazar Aiya
In Ankhon K Band Ho Janay Ko Jee Chaha

Yaad Aap Ki Jab Bhi Shidat Se Ayi
Dil Ki Darkhan Rukh Jaye Jee Chaha

Darkhon Pe Kanwal Tera Ekhtiyar Nahi
Bus Yehi Soch K Chup Rehnay Ko Jee Chaha

Rate it:
Views: 454
17 Apr, 2008
Related Tags on Sad Poetry
Load More Tags
More Sad Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets