Poetries by junaid Ellahi
Girne k ! Palatne k, Sub Auqaat Mustanad Girne k ! Palatne k, Sub Auqaat Mustanad
Palkon k Hum Ne Dekhe, Hijabaat Mustanad
Chehron me Aik Chehre ki, Tareef Mautbar
Jese ! Sana'i K liye, Sawat Mustanad
Pazaib ! Pairon k Liye, MazboOt Umidwaar
Bosay k liye ! Lab ki Shuruaat Mustanad
Badan k Liye Dil'Nasheen, Sarreeh ka Hair'Phair
Sarreeh k liye Taron ki, Khairaat Mustnad
Haya ki Sharayat me, Pasine ki BoOnd BoOnd
Mathay k liye ! BoOndon ki, Baraat Mustanad
Kamar k liye ! Lachak ki, MaqoOl Hazri
Azaa ki Mastiyon se, Mulaqaat Mustanad
Aadam k liye Sehatmand, JanOon e Aadmi
WajoOd e Zan k Waste, JazBaat Mustanad
Iqraar ki Dehleez par, Inkaar Kal'adam
Niyat ki Khidkiyon me, Kharabaat Mustanad
Gajre k Sath ! Long ki, Baham Ryazaten
Kashish ki Waardaat k, Aalaat Mustanad
RAZAB ! Medan e Nazar me, Shararton k Beech
Har Fiqra ! Bara Chust, Har Baat ! Mustanad junaid Ellahi Safar Ki Thakaan, Bimari K Bawjud Safar ki Thakaan, Bimari k Bawjud
Main ! Pedal Admi, Swari K Bawjud
Usk Sath Zor ! MashroOt Nahi Hai
Wo ! Mautbar hai, Waqt'Guzaari k Bawjud
Kuch Baten ! Tan'Badan AsoOdgi liye
Kuch Harf Faqa'kash ! Madaari k Bawjud
100 ! Qudarti Libaas, Ara'asta Kiye
Dil ! Barhna hai, Chaar'Deewari k Bawjud
Tashweeshi Nishanat se, DoOr ! Bht DoOr
Asaib'zada Saey ! Shumari k Bawjud
Mujhe Bari Aziz ! Najane Kyu Magar
Ik Zarb ! Waar me, Kaari k Bawjud
Dmagh se Gai ! Kbhi Na Muflisi
Sochon ki, Talakh ! Rez'Gaari k Bawjud
Main ! Jaan De k Bhi, Na'Mautbar Hua
"Nisf" ki Rishta'daar ! "Saari" k Bawjud
Ishq ! Bhaanp le, Zaruryaat e Husan
Nazar ki Aabru ! Khudaari ki Bawjud
Haseen MoOraten ! Na'paeydaar Hen
Daur e Kam'sini, Adakaari k Bawjud
RAZAB ! Kbhi Khula, Na Daftar e Weham
Dil me Bina Qufal, Almaari k Bawjud junaid Ellahi