Add Poetry

Girne k ! Palatne k, Sub Auqaat Mustanad

Poet: RAZAB By: junaid Ellahi, Multan

Girne k ! Palatne k, Sub Auqaat Mustanad
Palkon k Hum Ne Dekhe, Hijabaat Mustanad

Chehron me Aik Chehre ki, Tareef Mautbar
Jese ! Sana'i K liye, Sawat Mustanad

Pazaib ! Pairon k Liye, MazboOt Umidwaar
Bosay k liye ! Lab ki Shuruaat Mustanad

Badan k Liye Dil'Nasheen, Sarreeh ka Hair'Phair
Sarreeh k liye Taron ki, Khairaat Mustnad

Haya ki Sharayat me, Pasine ki BoOnd BoOnd
Mathay k liye ! BoOndon ki, Baraat Mustanad

Kamar k liye ! Lachak ki, MaqoOl Hazri
Azaa ki Mastiyon se, Mulaqaat Mustanad

Aadam k liye Sehatmand, JanOon e Aadmi
WajoOd e Zan k Waste, JazBaat Mustanad

Iqraar ki Dehleez par, Inkaar Kal'adam
Niyat ki Khidkiyon me, Kharabaat Mustanad

Gajre k Sath ! Long ki, Baham Ryazaten
Kashish ki Waardaat k, Aalaat Mustanad

RAZAB ! Medan e Nazar me, Shararton k Beech
Har Fiqra ! Bara Chust, Har Baat ! Mustanad

Rate it:
Views: 376
23 Apr, 2013
Related Tags on Love / Romantic Poetry
Load More Tags
More Love / Romantic Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets