Add Poetry

Kaaash

Poet: Asiya khan By: Asiya khan, Karachi

Pahli Hui Jo Mulaqat Hamari
Rimjhim
Baarish Ke Saye Mein
Doobi Thi Main Tumhari Jheel Si
Aankhon Ki Lahron Mein
Tumhari Aawaz, Andaaze Guftagu
Aur Woh Pyari Baaten
De Diya Dastak Mere Dil Per Ke
Giraftar Hui Teri Mohabbat Mein
Yunhi Tumhara Dil Bhi Mujhe Pane
Ki
Justaju Karta
Kaash Tumne Bhi Duaon Mein
Mujhe
Manga Hota!
Kitna Achha Hota Jo Tum Bhi
Mujhse
Mohabbat Karte
Raaton Ko Subah Tak Chand Se
Meri
Hi Baatein Karte
Paas Jo Aa Jate Zara Dil Ki Baatein
Batati Tujhko
Dharakta Hai Kaise Yeh Dil Tere Liye
Yeh Sunati Tujhko
Kaash Tumne Bhi Duaon Mein
Mujhe
Bhi Manga Hota
Main Sabab Khojti Hoon Ki Tujhe
Rakh
Loon Apne Dil Mein Chhupa Kar
Ke Tujhe Sab Dekhte Hain Aur
Mujhse
Yeh Dekha Nahi Jata
December Ki Tanha Raaton Mein
Meri Yadon Ka Sahara Hota
Tumhari Sonchon Per Meri
Mohabbat
Ka Pahra Hota
Dhanak Ke Sare Rang Meri Duaon
Ki
Qabooliyat Ka Aitaraf Karte
Kaash Tumne Bhi Duaon Mein
Mujhe
Manga Hota
Per Tumne Kabhi Chaha Hi Nahi
Apni
Mohabbat Ki Tarah
Yun Kabhi Himmat Hi Na Hui Ke
Izhaar E Mohabbat Kar Doon!
December Ki Tanha Raaton Mein
Jab
Chand Nikal Aata Hai
Teri Chahat Ki Fikar Aur Teri
Baatein
Meri Maozue Guftagu Hoti Hain
Kaash Tumne Bhi Duaon Mein
Mujhe
Manga Hota!
To Aaj Sari Khushiyan Gham,
Dhanak
Ke Har Rang, Chandni Raat Mein
Tumhara Tanha Muskurata Chehra
Aur Meri La Hasil Si Mohabbat
Tanha
Na Rahti
Kaash
Kaash Tumne Bhi Duaon Mein
Mujhe
Manga Hota!A
 

Rate it:
Views: 448
12 Feb, 2014
Related Tags on Sad Poetry
Load More Tags
More Sad Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets