Haal-e-Dil Kaise Kahu’n Khamosh Raha Bhi Nahi Jata
Log Kehte Hain Kaash, Humse Kaha Nahi Jata
Khamosh Reh Kar Gham Ko Chupana To Aasa’n Hain
Lekin Yu’n Dabey Hont Muskuraya Bhi Nahi Jata
Khamosh Reh Kar Apni Zindagi Pe Yu’n Tohmat Na Do
Lekin Yu’n Khwahisho’n Ki Qabr per Roya Bhi Nahi Jata
Shikast Kha Kar Jo Dars Miley, Wo Fateh Mein Kaha’n
Lekin Yu’n Khamosh Reh Kar Jung Jeeta Bhi Nahi Jata
Ilteja Wo Karte Hain, Jo Hukm Dena Nahi Jante
Lekin Yu’n Khamosh Reh Kar Sarr Jhukaya Bhi Nahi Jata
Dil Ke Chaalo’n Ko Humne Ghazal Ki Shakl De Di
Lekin Yu’n Khamosh Reh Kar Ab Jiya Bhi Nahi Jata
Falak Ki Neeli Aanke’n Aaj Aansu Baha Rahi Hain
Lekin Yu’n Khamosh Reh Kar Gham Piya Bhi Nahi Jata
Uff Teri Furqat Mein Ye Aankhe’n Be-Noor Hoti Gayee’n
Lekin Yu’n Khamosh Reh Kar Door Raha Bhi Nahi Jata
Kab Tak is Lafz Ke Saharey Jiyoge Shakir
Ab Aayene Mein Apna Chehra Bhi Dekha Nahi Jata