Add Poetry

Kab Tak Ey Na Haq Khoon Yonhi Jari Rahy Ga

Poet: Nadeem Ahmed Nadeem By: Muhammad Nadeem, Karachi

Kab Tak Ey Na Haq Khoon Yonhi Jari Rahy Ga
Tarapta Hay Dil Har MAA Ka Jab Chaman Se Phool Yonhi Ujara Jay Ga

Ab Laho Bhi Dasteyab Nahi Bazaron Me
Jab Laho Sry Aam Yonhi Bahaya Jay Ga

Ey Shehar Ka khaofzada Manzar Hay
Jab Sab Khushnuma Manzar Yonhi Nazr E Aatish Kia Jay Ga

Kia Ghalt Ho K Ey Siasi Amal Na Ho
Jab Yonhi Sry Aam Laho Lahan Kia Jay Ga

Hayran Hain Sab Siasi Alim O Mufti
Koi Fatwa Nahi Jis Se Ey Zalimana Amal Maoqoof Kia Jay Ga

Siasi Wa Mazhabi Ittehaad Se Kia Hasil
Jab Yonhi Insani Aza Fizaon Me Uchhala Jay Ga

Guzry Din Ki Jo Khaber Hay Zalimo
Tumhain Kabhi Bakhsha Na Jay Ga

Nest Wa Nabood Kardy Ya Rab Unhain
Jab Ey Amal Kabhi Yonhi Dohraya Jay Ga

Rate it:
Views: 1234
10 Jan, 2013
More Political Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets