kahin se laut ke ham ladkhadae hain kya kya
sitare zer-e-qadam raat aae hain kya kya
nasheb-e-hasti se afsos ham ubhar na sake
faraz-e-dar se paigham aae hain kya kya
jab us ne haar ke khanjar zamin pe phenk diya
tamam zakhm-e-jigar muskurae hain kya kya
chhata jahan se us avaz ka ghana badal
vahin se dhuup ne talve jalae hain kya kya
utha ke sar mujhe itna to dekh lene de
ki qatl-gah men divane aae hain kya kya
kahin andhere se manus ho na jaae adab
ki qatl-gah mein diwane aae hain kya kya