Kaho Muj Se Mohabbat Hai
Poet: Zarsh By: Minhal, karachiTumhain Zid Hai K Main Keh Dun
Muje Zid Hai K Tum Keh Do
"Muje Tum Se Mohabbat Hai"
Kaho Muj Se Mohabbat Hai
Nahin Ye Jantay Donon
Mohabbat Kab Muhtaj Hai Lafzon Ki ' Baton Ki
Mohabbat To Humari Dharkh'non K Saans Main Shamil
Sureelay Geet Ki Manind
Mohabbat Yaad Ki Daivi
Jo Tanha Raat Ko Akser Aati Hai Ankhon Main
Mohabbat Muskarahat Hai
Haseen Nazuk Se Honton Main
Mohabbat San'dli Hathon Ki Nazuk Lerzashon Main Hai
Mohabbat Soch Ki Gehriaon Se Phoot'ti Khushboo
Hamesha Saath Rehti Hai
Mohabbat Aankh Main Palta Wo Purasrar Jazba
Jisse Ab Tak Na Koi Samj Paya
Na Is Ki Koi Surat Hai
Na Is Ka Koi Pemaina
Dhakhe Alfaz Main Is Ka Boht Izhar Hota Hai
Kuch Aise Hi K Jaise Ab
Tah-E-Dil Se To Hum Donon Iqrar Kerte Hain
Magar Phir B Na-Jane Kiun
Tumhain Zid Hai K Main Keh Dun
Muje Zid Hai K Tum Keh Do
Muje Tum Se Mohabbat Hai
Kaho Muj Se Mohabbat Hai
گلشن میں برباد ہونا ضروری نہیں
تم حیات ہو میری ازل سے جانم
لیکن ترے لیے غزل لکھنا ضروری نہیں
لکھ بھیجے ہیں کچھ سوال تو نے مجھے
اب ان کا جواب لکھنا ضروری نہیں
بھولیں کی ہیں تو نے بہت میرے ساتھ
ان کو بھول جانا ضروری نہیں
تم نے کھائی تھیں قسمیں میل نبھانے کی
ان قسموں کو نبھانا ضروری نہیں
دل بھی دے دیا، دستیاب بھی رہتے ہیں اکثر
ہر وقت ملنا ملانا ضروری نہیں
بڑی رسوائی سے محبت نبھا رہا ہوں
ورنہ تم سے جدائی ضروری نہیں
بے وفا تو نہیں ہو، رائے ہے تمہاری
بھری بزم میں فضیحت کرنا ضروری نہیں
تجھ کو پا کے ہی دم لوں گا، ضد ہے ہماری
ضد پر قائم رہنا، زیب، ضروری نہیں






