Khaab Aankhon mai

PoetShamsul Hasan "ShamS" Submitted byShamsul Hasan
Text size

Khaab Aankhon Mai Saja Liya Maine
Khud Ko Mahataab Bana Liya Maine

Khusk Honton Pe Pyaas Rakh Li Hai
Chehre Ko Hi Talaab Bana Liya Maine

Waqt Aayega To Phir Ye Sochenge
Kahan Ye Ghar Basa Liya Maine

Meri Saari Kitaab Tanha Thi
Shuqr Hai Ek Gulaab Chupa Liya Maine

Zehan Mai "Shams" Nayi Hasrat Hai
Kya Kho Diya Kya Paa Liya Maine

Related tags on Parveen Shakir poetry

Copied