Gham Ke Tufa’n Uthey Hain Seeney Mein Lekin
Hansta Hua Chehra to Zamaane Ke Liye Hai
Kaisi Guzri Zindagi Sab Ne Poocha Mujhe
Sawalo’n Ka Bahana to Kuch Jataane Ke Liye Hai
Zikr Mehfil Mein Hua, Jis Waqt Mere Raqeeb Ka
Logo’n Ki Nafrat to Dil Jalane Ke Liye Hai
Chirago’n Ki Zindagi to Fizao’n Ki Mutthi Mein Hai Lekin
Rukh-e-Tufa’n to Hamein Aazmane Ke Liye Hai
Aankho’n Se Behtey Samandar Mein Ek Tufa’n Sa Hai
Gham-e-Waqt Ki Lehrein to Saahil Se Takrane Ke Liye Hai
Bheegey Mausam Mein Bheegi Aankhein Nazar Nahi Aati
Baarish Ka Sahara to Apna Gham Chupane Ke Liye Hai
Kahi’n Ye Khamoshi Mere Hi Khilaaf Na Ho Jaye
Jurm Ki Fehrist to Mujhe Neecha Dikhane Ke Liye
Khalish Si Mehsus Hoti Hai, Kirdar-e-Shakir Mein
Dil Ki Namurad Aarzu to Kuch Paane Ke Liye Hai