Shabnam Ki Taazgi Se Khila Koi Surkh Ghulab Ho
Zulfo’n Ki Badli Se Nikla Koi Mahtaab Ho
Darya-e-Husn Ka Paykar Hai Ye Khubsurat Jabee’n
Seerat Ke Saanchey Se Dhala Koi Haseen Shabab Ho
Raatein To Humne Guzardi Karwat Lete Huey
Palko’n Ki Chadar Mein Saja Koi Khwaab Ho
Aankho’n Mei Behtey Huey Uus Jheel Ki Qasam
Paani Ke Bundo’n Se Uth-tee Koi Mahek Nayaab Ho
Surkh Phulo’n Mein Dhalti in Labo’n Ki Dastan
Nazuk Pankhdiyo’n Ki Koi Be-misal Intekhab Ho
Chandni Noor Uske Nafees Gaalo’n Per Utar Aya Hai
Labo’n Se Ho Na Jaye Gustakhi Wo Dilkash Hijaab Ho
Qalam Ki Siyahi Ruk Ruk Ke Chalti Hai Ulfat Ke Kaghaz Per
Mere Hatho’n Se Likhi Koi Pakeeza Kitab Ho
Aachal Ki Panah Mein Rakhna Hamesha Khushnuma Chehre Ko
Shakir Ki Mohabbat Ka Koi Anmol Khitaab Ho