Zubaa’n Be-chain Hai Dil Ki Baat Kehne Ke Liye
Aankhe’n Be-Qarar Hai Dedaar-e-Husn Ke Liye
Karvate’n Badal Raha Hoon Ab Shab-e-Tanhayee Mein
Khwab Palko’n Pe Sajaye’n Hain Kisi Noor Ke Liye
Aankho’n Ki Tadap Kehti Hai Kis Qadar Khamoshi Se
Hum Kyun Na Shab Guzar De Kisi Justuju Ke Liye
Mujassam Ho Gaya Hoon Khwabo’n Ko Dekh Dekh Kar
Ab Raat Bhi Nahi Kat-ti Tere Intezaar Ke Liye
Sabar Ka Baandh Banaya Hai Maine Apni Khwahishat Per
Yun Sailaab Ko Rok Rakaha Hai Kisi Zindagi Ke Liye
Aise Na Dekho Mujhe Tum Yun Hasrat Bhari Nighaon Se
Kahin Aarzoo Machal Na Jaye Tumhein Paane Ke Liye
Khwabo’n Mein Tarasha Hoon Jis Haseen Surat Ko
Umr-e-Tamam Kat Gayee Oos Aarzoo Ko Pane Ke Liye
Shama Jalata Raha Shakir Taariki Khatm Hone Tak
Phir Kyun Na Saher hui Aaj Bhi Mere Aashya’n Ke Liye