chir ke saal mein do baar zamin ka sina
dafn ho jaata hoon
gudgudate hain jo suraj ke sunahre nakhun
phir nikal aata hoon
ab nikalta huun to itna ki batore jo koi daman men
daman phat jaae
ghar ke jis kone men le ja ke koi rakh de mujhe
bhook vahan se hat jaae
phir mujhe piste hain, gundhte hain, senkte hain
gundhne senkne men shakl badal jaati hai
aur ho jaati hai mushkil pahchan
phir bhi rahta huun kisan
vahi khasta, bad-hal
qarz ke panja-e-khunin men nidhal
is daranti ke tufail
kuch hai maazi se ghanimat mira haal
haal se hoga hasin istiqbal
uthte suraj ko zara dekho to
ho gaya saara ufuq laln-lal