Kisi Ko Apne Amal Ka Hisaab Kya Detay

Poet: Ahmed By: Ahmed, Karachi
Kisi Ko Apne Amal Ka Hisaab Kya Detay Sawal Saare Ghalat Thay Jawaab Kya Detay Kharab Sadiyon Ki Be Khwabiyan Theen Aankhon Mein Ab In Be Int Khalaon Mein Khwab Kya Detay Hawa Ki Tarah Musafir Thay Dilbaron Ke Dil Unhein Bas Aik Hi Ghar Ka Azaab Kya Detay Sharaab Dil Ki Talab Thi Shara Ke Pehre Mein Hum Itni Tangi Mein Us Ko Sharaab Kya Detay Muneer Dasht Shuru Se Siraab Asa Tha Is Aaine Ko Tamanna Ki Aab Kya Detay
Rate it:
Views: 63
04 May, 2026
More Sad Poetry