Add Poetry

MAA

Poet: By: SIBGHA, karachi

Mout Ki Aaghosh Main Jab Thak Kai Soo Jati Hai Maa
Tab Kaheen Ja Kar Sukoon Thora Sa Pa Jati Hai Maa

Fikar Main Bachoon Ki Kuch Is Terha Ghul Jati Hai Maa
Nojawaan Hotay Huwe Budhi Nazar Aati Hai Maa

Rooh K Rishtay Ki Yeah Gehrayean To Daikheye
Choot Lagti Hai Humaray Aur Chillati Hai Maa

Kab Zarorat Ho Mere Bachay Ko Itna Sooch Kar
Jaagti Rehti Hain Aankhain Aur Soo Jati Hai Maa

Hudiyoon Ka Ras Pila Kar Apnay Dil Kai Chain Ko
Kitni Hi Ratoon Mai Khali Pait Soo Jati Hai Maa

Jane Kitni Barf Si Ratoon Mai Aysa Bhi Hua
Bacha To Chaati Pai Hai Gelay Main Soo Jati Hai Maa

Jab Khilone Ko Machalta Hai Koi Ghurbat Ka Phool
Aansoon K Saaz Par Bachay Ko Bhailati Hai Maa

Fiker Kai Shamshaan Mai Aakhir Chitaoon Ki Terha
Jaisai Sookhi Lakreyaan Is Terha Jal Jati Hai Maa

Apnay Aanchal Sai Gulabi Aansuoon Ko Poonch Kar
Dair Tak Ghurbat Pai Apne Ashk Barsati Hai Maa

Samnai Bachoon K Khush Rahti Hai Her Ik Haal Main
Raat Ku Chup Chup K Lekin Ashk Barsati Hai Maa

Phailay Bachoon Ko Kheelati Hai Sukoon-O-Chain Sai
Baad Mai Jo Kuch Bacha Oh Shouk Sai Khati Hai Maa

Mangti Hi Kuch Nahi Apnai Leye Allah Sai
Apnai Bachoon K Leye Daman Ku Phailati Hai Maa

Gar Javan Baiti Ho Ghar Main Aur Koi Rishta Na Ho
Ek Naye Ehsas Ki Suli Pai Char Jati Hai Maa

Har Eebadat Har Mohabbat Mai Nihan Hai Ek Gharz
Be-Gharz, Be-Loos Har Khidmat Ko Kar Jati Hai Maa

Bazuwoon Mai Kheench Kai Aajaye Gi Jaisai Kayenat
Apnai Bachay K Leye Bahoon Ko Phailati Hai Maa

Zindagani K Safar Mai Gardishoon Ki Dhoop Mai
Jab Koi Saya Nahi Milta To Yaad Aati Hai Maa

Pyar Khaitai Hain Kisai Aur Mamta Kya Cheez Hai
Koi Un Bachoon Sai Poocheye Jin K Mar Jati Hai Maa

Safa-E-Hasti Pai Likhti Hai Usool-E-Zindagi
Is Liye Ek Muktab-E-Islam Keh Lati Hai Maa

Us Nai Duniyan Ko Deye Masoom Rahber Ise Leye
Azmatoon Mai Sani-E-Quran Keh Lati Hai Maa

Ghar Sai Jab Pardesh Ja Ta Hai Koi Noor-E-Nazar
Haath Main Qur'an Lai Kar Dar Pai Aajati Hai Maa

De Kai Bachay Ko Zamanat Main Raza-E-Pak Ki
Peechay Peechay Sar Jhookaye Door Tak Jaati Hai Maa

Kanpti Aawaz Sai Kehti Hai Baita "Alwida"
Samne Jab Tak Rahe Haatoon Ko Lehrati Hai Maa

Jab Perayshani Mai Ghar Jatai Hain Hum Pardes Main
Aansuwoon Ko Poonch Nai Khawaboon Main Aajati Hai Maa

Dair Ho Jati Hai Ghar Anai Main Aksar Jab Hamain
Rait Per Machle Ho Jaisay Aisay Ghabrati Hai Maa

Marte Dam Tak Aa Saka Bacha Na Ghar Pardes Sai
Apni Donoo Putliyaan Chokhat Pai Rakh Jati Hai Maa

Baad Mar Jane Kai Phir Baite Ki Khidmat Kai Leye
Bhais Beti Ka Badal Kar Ghar Main Aajati Hai Maa

Door Ho Jati Hai Sari Omer Ki Us Dum Thakan
Bayha Kar K Betay Ka Jab Ghar Bahu Lati Hai Maa

Rate it:
Views: 1733
27 Mar, 2008
Related Tags on Life Poetry
Load More Tags
More Life Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets