Uski Fitrat Mein Kabhi Dagha Nahi Hoti
Bas Ek Maa Hai, Jo Kabhi Bewafa Nahi Hoti
Dard Ke Daaman Mein Lipti Hui Hai Jiski Kahani
Jo Apne Bachhon Se Kabhi Khafa Nahi Hoti
Har Khushi Nichawar Karne Wali Wo Hasee’n Murat
Jiski Apni Zindagi Mein Koi Khushya’n Nahi Hoti
Apne Lakht-e-Jigar Ki Khatir Na Jane Kya-Kya
Itni Aziyat Uthakar, Wo Kabhi Paresha’n Nahi Hoti
Har Insa’n Ko Zindagi Deti Hai Apni Jaa’n Pe Khel Kar
Goya Apni Zindagi Ki Usey, Koi Chah Nahi Hoti
Bachho’n Ka Pet Bhar Jaye, Bas Isi Fikr Mein
Wo Maa Hai, Jisey Apne Niwalo’n Ki Koi Parwah Nahi Hoti
Thodey Se Niwalo’n Ko Barabar Baant Deti Hain
Wo Maa Hai, Jiske Kirday Mein Kabhi Na-insafi Nahi Hoti
Maa Ko Rulane Walo’n Duniya Mein, Ye Soch Lo Zara
Aakhirat Mein Unki Kabhi Maafi Nahi Hoti
Sab Kuch Kharida Hai Maine Apne Maka’n Ke Liye
Par Achha Nahi Lagta, Jab Waha’n Tu Nahi Hoti
Qalam Ki Siyahi Khatam Hogayi Shakir Uski Be-Baak Sana Mein
Sari Khushya’n Hain Be-Maani Waha’n, Jaha’n Tu Nahi Hoti