Main dhoondta hun jise woh jahaan nahin milta,
nayi zameen naya aasmaan nahin milta.
Nayi zameen naya aasmaan mil bhi jaaye,
naye bashar ka kahin kuchh nishaan nahin milta.
Woh tegh mil gayi jis se hua hai qatl mera,
kisi ke haath ka uss par nishaan nahin milta.
Woh mera gaaon hai woh mere gaaon ke chulhe,
ki jin mein sholay toh sholay dhuaan nahin milta.
Jo ek khuda nahi milta toh itna maatam kyon,
yahan toh koi mera hum-zubaan nahin milta.
Khada hun kab se main chehron ke ek jungle mein,
tumhare chehre ka kuchh bhi yahan nahin milta.