Gar Hoti Zuba’n to Baya’n Karta Zeenat Apni
Gar Hoti Haya Tujh Mein Dikhlata Halat Apni
Main Kaghaz Hoon, Numaya Karta Hoon Dunya Ko Apne Wajood Se
Taalim-e-Kainaat Risa’n Karta Hoon, Seerat Se Apni
Musawwir Ke Rang Bhi Nikhrey Hain Mere Hi Seene Per
Haalat Ko Lakeero’n Mein Sameta Hai, Fitrat Se Apni
Kaanpte Haatho’n Ne Meri Pusht Per Wo Afsaane Bhi Likhe
Jise Padh Kar Aankhen Tarr Hui, Furqat Se Apni
Daulat Ki Shakl Bhi Mili, Dunya Mein Mujhe Rab Se
Apno Ne Apno Ka Khoon Bahaya, Jahalat Se Apni
Ghurur Ke Pardo’n Se Chupe Huey They, Raeeso’n Ke Chehre
Apne Hi Daaman Ko Daagh-Dar Kiya Usne, Dualat Se Apni
Tukdo’n Mein Bikharti Daastan Kaise Bayan Karoon
Kitne Haatho’n Ne Mujhe Taar-Taar Kiya, Nafrat Se Apni
Insaa’n Ki Aankho Se Oajhal Hain Kaghaz Ke Har Aansu
Zindagi Lafzo’n Mein Simat Kar Reh Gayee, Qismat Se Apni
Aaj Shakir-e-Qalam Ne Meri Nasl Ki Zeest Bhi Badha Di
Ummid Ke Falsafo’n Ko Raushan Kiya, Mohabbat Se Apni