Main Nadaan Likhta Raha

Poetmohammed masood Submitted bymohammed masood
Text size

Usy Bana Kr Ghazal MeinSubh-O-Sham Likhta Raha
Haqeeqat Ki Her Gari Mein Usy Salam Likhta Raha

Wo Meri Muhabat Ko Mera Junoon Samj Betha
Main Naam-E-Muhabat Ko Bar Bar Likhta Raha

Kar Lo Iqrar-E-Dil Lagi Muj Se Yay Kaha, Us Se Main Ny
Ajab Shakhs Tha Muje He Bewafa Likhta Raha

Uski Arzu Yay Thi K Bhul Jao Muje”
Main Her Diwaar Par Ishq Ki Intaha Likhta Raha

Zulm Sehan Hi Tu Ishq Ki Miraaj Hy
Wo Badnaam Krta Raha Main Nadaan Likhta Raha
 

Related tags on Parveen Shakir poetry

Copied