Teri Zulfo’n Ne Meri Shaano per Panah to Le Li
Lekin Tere Aansuon se Mera Daaman Bhar Gayaa
Kaise Batlaon, Uun Bheege Lamho’n Ki Daasta’n
Kisi Roothi Taqdeer ko, Achanak Raushan Kar Gayaa
Na Jane Kaunsi Saugaat De Gayaa Wo Mujhey
Ek hi Pal Mein, Rasm-e-Ulfat se Pehchan Kar Gayaa
Bikhrey Padey Hain, Aankho’n Ke Saahil Pe Ashko’n Ke Moti
Sawal-e-Wasl Ki, Lehro’n ko Utha kar Ek Tufaan Kar Gayaa
Uff, Kyun Unhey Apney Hi Pyar Pe Yaqee’n Nahi
Nighah-e-Ehtemal se Ek Hi Pal Mein Anjaan Kar Gayaa
Ek Taraf Mehfil, Aur Ek Taraf Khamoshiya’n Hain
Phir Kyun Hamein, Do Hisso’n Mein Baa’nt Kar Sumsaan Kar Gayaa
Haatho’n Ki Siyah Lakeero’n pe Ek Tohfa Sa Rakh Diya
Magar Taqdeer Ka Jo Kuch Likha Tha, Sab Veeran Kar Gayaa
Meri Ghazal Suni, Magar Ye Dard Tum Na Samajh Sakey
Lekin Tehreer Ke Maani To, Unke Liye Aasaan Kar Gayaa
Koh-e-Toor Se Gir Kar, to Uth Jaogey Shakir
Nazro’n Se Gir Kar Uthna to, Hamein Hairan Kar Gayaa