Mere Hamsafar

PoetJ Submitted byJunaid Taj
Text size

Kabhi Is Tarhan Mere Hamsafar
Sabhi Chahten Mere Nam Kar

Agar Ho Sake To Kabhi Kahein
Mere Nam Bhi Koi Shaam Kar

Mere Dil K Saye Main Aa Zara
Meri Dharkanon Main Qayam Kar

Ye Jo Mere Lafzon K Phool Hain
Tere Raastay Ki Ye Dhool Hain

Kabhi In Se Sun Meri Dastan
Kabhi In K Saath Qalam Kar

Related tags on Parveen Shakir poetry

Copied