Chand Ko Chune Wale Mitti Hi Tera Ghar Hai
Aasma’n Pe Udne Wale Adhura Tera Safar Hai
Itna Ghurur Acha Nahi Do Din Ki Kamyabi Per
Duniya Ke Is Bazaar Mein Sabka Yahi Hashar Hai
Daulat Ke Ye Gharondey Pal Bhar Mein Fanaa Honge
Be Khauf Takrati Lehron Ka Saahil Pe Ye Asar Hai
Insan Ko Maut Aati Hai Khwahish Ko Nahi
Ye Wo Aag Hai Dil Ki, Jisey Mili Lammbi Umar Hai
Jab Se Bani Ye Duniya Lakho’n Shahensha Aaye
Do Ghazz Zameen Ke Tukdey Mein Hi, Sabka Ghar Hai
Be-Khauf Soatey Hain Wo, Jo Apni Lahed Main
Zikr-e-iLahi Mein Ghuzri, Jinki Har Ek Saher Hai
Pash-e-Ma’a Hokar Bhi Nasamajh Rahey Zindagi Bhar Shakir
Saleeqa Badlo Jeene Ka, Waha’n Ki Pehli Manzil Qabar Hai