Mohabbat Say Chot Lagti Hai

Poet Submitted byGh Murtaza Soomro
Text size

Mohabbat Say Inayat Say Wafa Say Chot Lagti Hai
Bikherta Phool Houn Mujh Ko Hawa Say Chot Lagti Hai

Main Shabnum Ki Zuban Say Phool Ki Aawaz Sunta Houn
Ajab Ahsaas Hai Apni Sada Say Chot Lagti Hai

Tujhe Khud Apni Majboori Ka Andaza Nahi Shayad
Na Ker Ahed-E-Wafa, Ahed-E-Wafa Say Chot Lagti Hai

Meri Aankhon Main Aansoo Ki Tarha Ek Baar Aa Jao
Takaluf Say Banawat Say Aada Say Chot Lagti Hai

Related tags on Parveen Shakir poetry

Copied