Poetries by Muhammad Zubair
Usay Kehna Usay Kehna
Bazaahir To
Hawaein Badli Badli Hain
Chaman Bhi Badla
Badla Hai,
Mager Dil Me Tumhari Yaad Ka Mosam Nhi Badla,
Teri Chahat K
Phoolon Ki,
Abhi Khushbu
Nhi Bikhri,
Mere Andar Tmhari Zaat Ka
Ehsas Baqi Hai,
Usay Kehna
Ye Fitrat Ka Taqaaza Hai,
K Mosam To Badaltay Hain,
Kabhi Mosam Badalnay Se,
Ye Aankhein Numm
Nhi Kartay,
Dilon Me Ghum Nhi Kartay,
Mohabbat Kam Nhi Kartay
Muhammad Zubair Kuch is Andaaz Say Niklo Tumhari Aankhain Kehti Hain Hisaar-E-Zaat Say Niklo
Tamanna Meri Ban Jao, Shab-E-Barbaad Say Niklo
Kinara Thaam Lo Dil Ka Bhula Do Her Gila Shikwa
Kabhi Sachi Hansi Hans Do Purani Yaad Say Niklo
Khayal-E-Yaar Acha Hai Magar Jis Nay Wafa Na Ki
Palat Ker Phir Sada Na Do, Dar-E-Faryad Say Niklo
Nahin Koi Muhabbat Bhi, Hijr Rut Bhi, Raqabat Bhi
To Yeh Dharka Sa Kaya, Kahiye, Wehem Ki Ghaat Say Niklo
Sukhanwer Hum Say Kehta Hai Saja Lo Aankh Men Kuch Khawab
Dharakna Dil Ko Sikhla Do, Amaawas Raat Say Niklo
Nahin Tum Ko Gawara Ab Hamara Qurb To Keh Do
Hamaray Karb Ki Chhorro, Tum Is Gardaab Say Niklo
Sar-E-Maqtal Jo Jatay Ho, Na Ho Darmaandgi Kuch Bhi
Zamana Daikh Tham Jaye, Kuch Is Andaaz Say Niklo
Muhammad Zubair