Mujko Sahil Se Pukaro K Mai Zinda Hun Abi

PoetZeeshan Submitted byZeeshan
Text size

Mere Qatil Ko Pukaro K Mai Zinda Hun Abi
Phir Se Muqtal Ko Sanwaro K Mai Zinda Hun Abi

Ye Shab-E-Hijar To Sath Hain Meri Barson Se
Jao So Jao Sitaro K Mai Zinda Hun Abi

Ye Preshan Se Gesuu Nai Dekhey Jatey
Apni Zolfon Ko Sanwaron K Mai Zinda Hun Abi

Lakh Mojon Mai Ghira Hun Abi Dooba To Nai
Mujko Sahil Se Pukaro K Mai Zinda Hun Abi

Related tags on Parveen Shakir poetry

Copied