Suraj Ko Charhte Dekha Hai
Chanda Ko Chamakte Dekha Hai
Hawa Ki Loch Bhi Dekhi Hai
Hiddat Se Jalte Dekha Hai
Komal Muskaan Bhi Dekhi Hai
Khil Khil Kar Hanste Dekha Hai
Ghayur Ki Shaan Bhi Dekhi Hai
Pashemaan Ko Bekal Dekha Hai
Be Tarha Pyar Bhi Dekha Hai
Be Wajah Jalal Bhi Dekha Hai
Dekha Hai Zamane Ko Aankhen Badalte
Muhabbat Ke Sailaab Ko Nafrat Main Badalte
Dekhe Hain Lashe Azm Walon Ke
Dekhe Hain Tamashe Dilnawazon Ke
Dekheen Hain Lazatein Muhabbat Ki
Dekheen Hain Kilwatein Ibadat Ki
Dekhne Ko Dekha To Bahut Kuch Is Zamane Main
Nahin Dekha To Aankh Band Kar Ke
Apne Ander Ke Insaan Ko Nahin Dekha
Nahin Dekh