Ye Kaunsi Gali Hai, Ye Kaunsa Maqaam Hai
Na Mohabbat Ke Ghar Hain, Na Khushyon Ki Duka’n Hai
Badi Hasrat Se Aaye They Dehleez Pe Tere
Na Aankho Mein Khumar Hai, Na Labo’n per Muska’n Hai
Khwabo’n Ko Sajayenge, Zindagi Banayenge Lekin
Na Maazi Ke Tajurbe Hain, Na Mustaqbil Ke Pehcha’n Hai
Sang-Tarashi Mein Hatheliyan Bhi Sakht Ho Gayee’n
Na Hathon Mein Fann Hai, Na Ungliyon Mein Jaa’n Hai
Umr-e-Tamam Dualat Ki Khaak Chante Rahey Pardes Mein
Na Zarkhez Zamee’n Hai, Na Khula Aasma’n Hai
Khushiyon Ke Beej Boye They, Ghairo’n Ki Zamee’n Per
Na Ummid Ki Fasal Hai, Na Mohabbat Ke Gulsita’n Hai
Aaj Bhi Koi Be-Qarar Hai Mere Liye Watan Mein
Na Khato’n Ke Qaafley Hain, Na Qaasid-e-Maka’n Hai
Apne Hi Naam Ki Talash Mein Bhataktey Rahey Shakir
Na Raasta Koi Seedha Hai, Na Mazil Ka Nisha’n Hai