Poetries by rimsha
Suna Hai Yad Karte Ho Suna Hai Yad Karte Ho,
K Jb B Sham Dhalti Hai,
Hijar Main Jan Jalti Hai,
Tm Apni Rat KA Aksar
Sakoon Barbad Karte Ho,
Suna Hai YAD Karte HO,
Jb Panchi Loat Ate Hain,
Ghamoon KA Geet Gate Hain,
Suno Tm Loat Aao NA,
YHI Faryad Karte HO,
Suna Hai YAD Karte HO,
Sitare Jb Falak P Jagmagate Hain,
Wo Beatay Pal Khoob Rulate Hain,
Tm Is Dam Apni Aankhoon Main,
Muje Abad Karte HO,
Suna Hai YAD Karte HO,
Muje Tm YAD Karte HO,
Rimsha Loat aao....!! Loat Aao
Usy Kehna
Kitabon Min Rakhy Sukhy Huy Kuch
Phool
Usky Loat Any Ka
Yaqen Ab Tak Dilaty
Han,
Usy Kehna
Uske Jheel Se Ankhein
Kse Manzar Pe Cha Jayen
To Sab Manzar Younhe
Phir Bheeg Jaty Han,
Usy Kehna
Kahthandi Barf Par
Koe Kse K Sath Chalta Ha
To Qadmon K Nishan
Phr Usy K Loat Aany
K Nishan
Dil Pe Banaty Han,
Usy Kehna
Uske Bheege Ankhon
Kah Vo Anso
Sitary Ke Tarha Ab Bhe
Humien Shab Bhar Jagata Ha,
Usy Kehna
Kah Barish Khirkion Pe
Usky Anso Paint Karte Ha,
Use Ka Nam Likhte Ha
Usy He Gungante Ha,
Usy Kehna
Khushbo,Chandni,Tary,
Saba,Ghata,Kajal,
Mohabat,Shabnam,
Havaien,Raat Din,
Badal,
Sabhe Naraz Han Humsy
Usy Kehna
Judai K Dharkhton Par
Jo Sokhe Tahnian Hain
Wo Sari Barf Ke Chadar Min Kab Ke Dhak Chuke Han,
Aur Un Shakhon Pe
Yadon K Jo Paty Thy,
Wo Sunehri Hogay Han,
Usy Kehna
December So Gaya Ha
Aur Wo Yakhbasta,
Wo Bheega Januaray
Phir Loat Aya Ha
Usy Kehna Loat Ay
Usy Kehna Kah
Ab Loat Ay.
Rimsha