Add Poetry

Ro Parha Asmaan Bhi Tab

Poet: Haroon Ur Rasheed uDas By: Haroon Ur Rasheed uDas, Muzaffarabad Azad Kashmir

"Ro Parha Tab Asmaan Be Is Haal Par
"Tarap Tarap Ke Rone Lagi Jab Maan Apne Laal Par

Har Ankh Ashk Baar Ho Gai Is Lamha
Pathar Be Pigal Parhe Ummat Ke Is Zawaal Par

Masal Ke Rakh Diye Wo Phool Zalimo ne
Khushboo Ke Qabil Be Jo Na Huwe They Tehni Ke Gaal Par

Kia Bigarha Tha Kisi Ka Un Shaheedon Ne???
Mout Khud Lajawab Reh Gai Is Sawal Par

Lashain Ponchi Khoon Main Rangi Hui Tab
Maaen Nazrain Bandh Ke Beth Thi Jab Rah Par

Lafzon Main Bayan Karna Mumkun He Nahi
Ke Khud Dard Be Ro Parha Masoomon Ki Aah Par

Kia Shan Hogi Un Ki Zara Tasawar To Karo Haroon
Ke Farishtey Kharay They Jannat Main Jin Ke Isteqbal Par

Rate it:
Views: 274
24 Dec, 2014
Related Tags on Sad Poetry
Load More Tags
More Sad Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets