rooh bechain hai ek dil ki aziyat kya
dil hi shoala hai to ye soz-e-mohabbat kya hai
vo mujhe bhuul gai is ki shikayat kya hai
ranj to ye hai ki ro ro ke bhulaya hoga
vo kahan aur kahan kahish-e-gham, sozish-e-jan
us ki rangin nazar aur nuqush-e-hirman
us ka ehsas-e-latif aur shikast-e-arman
taana-zan ek zamana nazar aaya hoga
jhuk gai hogi javan-sal umangon ki jabin
mit gai hogi lalak, duub gaya hoga yaqin
chha gaya hoga dhuan, ghuum gai hogi zamin
apne pahle hi gharaunde ko jo dhaya hoga
dil ne aise bhi kuchh afsane sunae honge
ashk ankhon ne piye aur na bahae honge
band kamre men jo khat mere jalae honge
ek ik harf jabin par ubhar aaya hoga
us ne ghabra ke nazar laakh bachai hogi
mit ke ik naqsh ne sau shakl dikhai hogi
mez se jab miri tasvir hatai hogi
har taraf mujh ko tadapta hua paaya hoga
be-mahal chhed pe jazbat ubal aae honge
gham pasheman-e-tabassum men dhal aae honge
naam par mere jab aansu nikal aae honge
sar na kandhe se saheli ke uthaya hoga
zulf zid kar ke kisi ne jo hatai hogi
ruthe jalvon pe khizan aur bhi chhai hogi
barq ashvon ne kai din na girai hogi
rang chehre pe kai roz na aaya hoga