Royaa Bhi Iss Tarha K Royaa Kabhi Naa Thaa!!

PoetS. Sadia Amber Jilani. Submitted bySyeda Sadia Amber Jilani.
Text size

Kehtay Hain Log Tu Mera Kabhi Naa Thaa
Tu Nay Tu Aisaa Kahaa Kabhi Naa Thaa

Hum Bhi Fida Tum Pay Bala K Thay
Tu Bhi To Na-Ashna Itna Kabhi Naa Thaa

Shikway Shikayeteen Aisi Bhi Bhala Kiya?
Iss Tarha Tu Mujh Say Routha Kabhi Naa Thaa

Yeh Tashnagi Awargi Udassi Be-Taabi
Piyassa Thaa Man Itna Tashna Kabhi Naa Thaa

Jiss K Bagair Jeenay Ka Tasvar Bhi Nahi
Marnay Say Uss Shakas Nay Roka Kabhi Naa Thaa

Udassi Ko Meri Dekh Kar Woh Bhi Row Parra
Royaa Bhi Iss Tarha K Royaa Kabhi Naa Thaa

Shayed K Lout Aye Amber Woh Aaj Bhi
Kehta Thaa Mujh Say Woh Be-Wafaa Kabhi Naa Thaa!!
 

Related tags on Parveen Shakir poetry

Copied